na minar mahlon ki shaukat bachegi
na mīnār mahloñ kī shaukat bachegī
bachegī to bas ik mohabbat bachegī
na hī hukmarāñ kī hukūmat bachegī
mohabbat bachegī mohabbat bachegī
chale jāoge jab mujhe chhoḌ kar tum
'ibādat simaT kar shikāyat bachegī
kueñ meñ chalo kuud jaate haiñ donoñ
tabhī is zamāne kī rāhat bachegī
ghaTā deñ agar is jahāñ se suḳhanvar
jahāñ meñ to phir sirf nafrat bachegī
na minar mahlon ki shaukat bachegi
bachegi to bas ek mohabbat bachegi
na hi hukmaran ki hukumat bachegi
mohabbat bachegi mohabbat bachegi
chale jaoge jab mujhe chhoD kar tum
'ibaadat simaT kar shikayat bachegi
kuen mein chalo kud jate hain donon
tabhi is zamane ki rahat bachegi
ghaTa den agar is jahan se suKHanwar
jahan mein to phir sirf nafrat bachegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.