na mila wo nifaq ke mare
na milā vo nifāq ke maare
kyā kareñ ham vifāq ke maare
jab tak aave hai aave tū ham to
mar chuke ishtiyāq ke maare
mat ḳhafā ho ki aan nikle haiñ
ham bhī yaañ ittifāq ke maare
mil ga.e ḳhaak meñ hazāroñ hī
charḳh-e-kohna ruvāq ke maare
ho chukā hashr bhī 'hasan' lekin
na jiye ham firāq ke maare
na mila wo nifaq ke mare
kya karen hum wifaq ke mare
jab tak aawe hai aawe tu hum to
mar chuke ishtiyaq ke mare
mat KHafa ho ki aan nikle hain
hum bhi yan ittifaq ke mare
mil gae KHak mein hazaron hi
charKH-e-kohna ruwaq ke mare
ho chuka hashr bhi 'hasan' lekin
na jiye hum firaq ke mare
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.