na milta gham to barbaadi ke afsane kahan jate
na miltā ġham to barbādī ke afsāne kahāñ jaate
agar duniyā chaman hotī to vīrāne kahāñ jaate
chalo achchhā huā apnoñ meñ koī ġhair to niklā
agar hote sabhī apne to begāne kahāñ jaate
duā.eñ do mohabbat ham ne miT kar tum ko sikhlā.ī
na jaltī sham.a mahfil meñ to parvāne kahāñ jaate
tumhīñ ne ġham kī daulat dī baḌā ehsān farmāyā
zamāne bhar ke aage haath phailāne kahāñ jaate
na milta gham to barbaadi ke afsane kahan jate
agar duniya chaman hoti to virane kahan jate
chalo achchha hua apnon mein koi ghair to nikla
agar hote sabhi apne to begane kahan jate
duaen do mohabbat hum ne miT kar tum ko sikhlai
na jalti shama mahfil mein to parwane kahan jate
tumhin ne gham ki daulat di baDa ehsan farmaya
zamane bhar ke aage hath phailane kahan jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.