na mushk-bu hai na hai zafran ki KHushbu
na mushk-bū hai na hai za.afrān kī ḳhushbū
harīm-e-jāñ meñ hai ik mehrbān kī ḳhushbū
maiñ dekhtī hī nahīñ ḳhvāb ūñche mahloñ ke
mujhe pasand hai kachche makān kī ḳhushbū
isī zamīn meñ ik din panāh lenī hai
ki is zamīn meñ hai āsmān kī ḳhushbū
kahīñ bhī jā.ūñ mire saath saath rahtī hai
kisī kī yaad kisī ke dhyān kī ḳhushbū
mire gulāb se chehre pe kyā kahūñ kaise
bahār-e-nau hai mire ḳhāndān kī ḳhushbū
kisī se milne ke ba.ad aa gayā yaqīñ mujh ko
diloñ ko chhūtī hai mīThī zabān kī ḳhushbū
pukārā jab bhī kisī ne mujhe vafā kah kar
badal ga.ī hai yaqīñ meñ gumān kī ḳhushbū
na mushk-bu hai na hai zafran ki KHushbu
harim-e-jaan mein hai ek mehrban ki KHushbu
main dekhti hi nahin KHwab unche mahlon ke
mujhe pasand hai kachche makan ki KHushbu
isi zamin mein ek din panah leni hai
ki is zamin mein hai aasman ki KHushbu
kahin bhi jaun mere sath sath rahti hai
kisi ki yaad kisi ke dhyan ki KHushbu
mere gulab se chehre pe kya kahun kaise
bahaar-e-nau hai mere KHandan ki KHushbu
kisi se milne ke baad aa gaya yaqin mujh ko
dilon ko chhuti hai miThi zaban ki KHushbu
pukara jab bhi kisi ne mujhe wafa kah kar
badal gai hai yaqin mein guman ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.