Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na nawazishon ki hai aarzu na teri jafa ka malal hai

Nayyar Aasmi

na nawazishon ki hai aarzu na teri jafa ka malal hai

Nayyar Aasmi

MORE BYNayyar Aasmi

    na navāzishoñ hai aarzū na tirī jafā malāl hai

    nazar se apnī girā na de yahī ek dil meñ ḳhayāl hai

    tujhe jān-e-mehr-o-vafā kaheñ tujhe aks-e-shān-e-ḳhudā kaheñ

    tujhe kyā se kyā hai banā diyā ye mirī nazar kamāl hai

    hai usī se ruuh meñ tāzgī yahī qalb-o-jāñ hai raushnī

    ḳhudā-rā tark-e-sitam na kar mirī zindagī savāl hai

    tirī raah meñ tirī chaah meñ ye maqām kaun aa gayā

    ki ḳhushī mujh ko ḳhushī nahīñ na malāl malāl hai

    vo nazar kisī jhukī jhukī vo hañsī kisī rukī rukī

    kise pās-e-zabt hosh hai kise guftugū majāl hai

    kabhī rote rote hañsā diyā kabhī hañste hañste rulā diyā

    tirī yaad se hai har ḳhushī tire zikr se malāl hai

    na nawazishon ki hai aarzu na teri jafa ka malal hai

    tu nazar se apni gira na de yahi ek dil mein KHayal hai

    tujhe jaan-e-mehr-o-wafa kahen tujhe aks-e-shan-e-KHuda kahen

    tujhe kya se kya hai bana diya ye meri nazar ka kamal hai

    hai usi se ruh mein tazgi yahi qalb-o-jaan ki hai raushni

    tu KHuda-ra tark-e-sitam na kar meri zindagi ka sawal hai

    teri rah mein teri chah mein ye maqam kaun sa aa gaya

    ki KHushi ki mujh ko KHushi nahin na malal hi ka malal hai

    wo nazar kisi ki jhuki jhuki wo hansi kisi ki ruki ruki

    kise pas-e-zabt ka hosh hai kise guftugu ki majal hai

    kabhi rote rote hansa diya kabhi hanste hanste rula diya

    teri yaad hi se hai har KHushi tere zikr hi se malal hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now