Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na nind aur na KHwabon se aankh bharni hai

Tahzeeb Hafi

na nind aur na KHwabon se aankh bharni hai

Tahzeeb Hafi

MORE BYTahzeeb Hafi

    na niiñd aur na ḳhvāboñ se aañkh bharnī hai

    ki us se ham ne tujhe dekhne karnī hai

    kisī daraḳht hiddat meñ din guzārnā hai

    kisī charāg chhāñv meñ raat karnī hai

    vo phuul aur kisī shāḳh par nahīñ khulnā

    vo zulf sirf mire haath se sañvarnī hai

    tamām nāḳhudā sāhil se duur ho jaa.eñ

    samundaroñ se akele meñ baat karnī hai

    hamāre gaañv har phuul marne vaalā hai

    ab us galī se vo ḳhushbū nahīñ guzarnī hai

    tire ziyāñ pe maiñ apnā ziyāñ na kar baiThūñ

    ki mujh murīd murshid 'uvais-qarnī' hai

    na nind aur na KHwabon se aankh bharni hai

    ki us se hum ne tujhe dekhne ki karni hai

    kisi daraKHt ki hiddat mein din guzarna hai

    kisi charag ki chhanw mein raat karni hai

    wo phul aur kisi shaKH par nahin khulna

    wo zulf sirf mere hath se sanwarni hai

    tamam naKHuda sahil se dur ho jaen

    samundaron se akele mein baat karni hai

    hamare ganw ka har phul marne wala hai

    ab us gali se wo KHushbu nahin guzarni hai

    tere ziyan pe main apna ziyan na kar baiThun

    ki mujh murid ka murshid 'uwais-qarni' hai

    Source :
    • Book : Dunya Zaad (Pg. 129)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now