na paniyon ka iztirar shahr mein
na pāniyoñ kā iztirār shahr meñ
na mausamoñ kā e'tibār shahr meñ
misāl-e-mauja-e-havā idhar udhar
ravāñ-davāñ hai intishār shahr meñ
hai shab ga.e gharoñ meñ raushnī sī kyā
hai sab ko kis kā intizār shahr meñ
har ik nigāh be-maqām be-jahat
har ek jism be-dayār shahr meñ
har ek rang aa.ine pe gard sā
har ek naqsh dil-figār shahr meñ
ḳhudā ke naam jhuuT sach ke silsile
ḳhudā bahut hai nām-dār shahr meñ
na paniyon ka iztirar shahr mein
na mausamon ka e'tibar shahr mein
misal-e-mauja-e-hawa idhar udhar
rawan-dawan hai intishaar shahr mein
hai shab gae gharon mein raushni si kya
hai sab ko kis ka intizar shahr mein
har ek nigah be-maqam be-jahat
har ek jism be-dayar shahr mein
har ek rang aaine pe gard sa
har ek naqsh dil-figar shahr mein
KHuda ke nam jhuT sach ke silsile
KHuda bahut hai nam-dar shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.