Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na paya kuchh pata us ka KHuda jaane kahan hai wo

Asghar Nizami

na paya kuchh pata us ka KHuda jaane kahan hai wo

Asghar Nizami

MORE BYAsghar Nizami

    na paayā kuchh pata us ḳhudā jaane kahāñ hai vo

    zamāne bhar meñ DhūñD aaya ḳhudā jaane kahāñ hai vo

    muazzin se jo pūchhā haath rakh kar us ne kānoñ par

    kahā mujh ko ḳhabar hai kyā ḳhudā jaane kahāñ hai vo

    use mandir meñ DhūñD aaya use masjid meñ dekh aaya

    nahīñ miltā nishāñ us ḳhudā jaane kahāñ hai vo

    use maiñ ban ke āshiq saare māshūqoñ meñ DhūñD aaya

    nazar aaya na kuchh jalva ḳhudā jaane kahāñ hai vo

    zamīn-o-āsmāñ kaun-o-makāñ dair-o-haram dekhā

    nahīñ miltā pata us ḳhudā jaane kahāñ hai vo

    papīhā kahāñ bolā kahā koyal ne

    samajh meñ kuchh nahīñ aatā ḳhudā jaane kahāñ hai

    kahāñ se ke aa.e ho bahut bahke ho tum 'asġhar'

    kahāñ banda kahāñ maulā ḳhudā jaane kahāñ hai

    na paya kuchh pata us ka KHuda jaane kahan hai wo

    zamane bhar mein DhunD aaya KHuda jaane kahan hai wo

    muazzin se jo puchha hath rakh kar us ne kanon par

    kaha mujh ko KHabar hai kya KHuda jaane kahan hai wo

    use mandir mein DhunD aaya use masjid mein dekh aaya

    nahin milta nishan us ka KHuda jaane kahan hai wo

    use main ban ke aashiq sare mashuqon mein DhunD aaya

    nazar aaya na kuchh jalwa KHuda jaane kahan hai wo

    zamin-o-asman kaun-o-makan dair-o-haram dekha

    nahin milta pata us ka KHuda jaane kahan hai wo

    papiha pi kahan bola kaha koyal ne tu hi tu

    samajh mein kuchh nahin aata KHuda jaane kahan hai tu

    kahan se pi ke aae ho bahut bahke ho tum 'asghar'

    kahan banda kahan maula KHuda jaane kahan hai tu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now