na parda kholiyo ai ishq gham mein tu mera
na parda kholiyo ai ishq gham mein tu mera
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
na parda kholiyo ai ishq ġham meñ tū merā
kahīñ na sāmne un ke ho zard rū merā
tum apnī zulf se pūchho mirī pareshānī
ki haal us ko hai ma.alūm hū-ba-hū merā
agarche laakh rafū-gar ne dil kiyā behtar
ye jab bhī ho na sakā zaḳhm-e-dil rafū merā
faqat vo is liye aate haiñ jānib-e-zindāñ
ki phañs ke ghuTne lage tauq meñ gulū merā
nishāna tīr-e-nigah kā ba-dil karūñ 'ārif'
laḌā.e aañkh agar mujh se jañg-jū merā
na parda kholiyo ai ishq gham mein tu mera
kahin na samne un ke ho zard ru mera
tum apni zulf se puchho meri pareshani
ki haal us ko hai malum hu-ba-hu mera
agarche lakh rafu-gar ne dil kiya behtar
ye jab bhi ho na saka zaKHm-e-dil rafu mera
faqat wo is liye aate hain jaanib-e-zindan
ki phans ke ghuTne lage tauq mein gulu mera
nishana tir-e-nigah ka ba-dil karun 'arif'
laDae aankh agar mujh se jang-ju mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.