na phir jahan mein bulandi-e-izz-o-shan ke liye
na phir jahan mein bulandi-e-izz-o-shan ke liye
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
na phir jahāñ meñ bulandī-e-izz-o-shāñ ke liye
ye kaam chhoḌ siyah-baḳht āsmāñ ke liye
mirī fuġhāñ hī se raunaq hai merī hastī kī
sadā jaras kī zarūrī hai kārvāñ ke liye
ḳhalish ne dil ko mire kuchh mazā diyā aisā
ki jam.a kartā huuñ maiñ ḳhaar āshiyāñ ke liye
kiyā hai vaar to kaam ab tamām kartā jā
na chhoḌ mujh ko sitam-hā-e-āsmāñ ke liye
nahīñ hai shikva-e-ḳhūbān-e-ātshīñ-ruḳhsār
azal se vaqf hai dil sozish-e-nihāñ ke liye
ḳhudā kare ye samajh le ma.āl-e-ishq-e-butāñ
du'ā karo koī 'mahrūm'-e-ḳhasta-jāñ ke liye
na phir jahan mein bulandi-e-izz-o-shan ke liye
ye kaam chhoD siyah-baKHt aasman ke liye
meri fughan hi se raunaq hai meri hasti ki
sada jaras ki zaruri hai karwan ke liye
KHalish ne dil ko mere kuchh maza diya aisa
ki jama karta hun main KHar aashiyan ke liye
kiya hai war to kaam ab tamam karta ja
na chhoD mujh ko sitam-ha-e-asman ke liye
nahin hai shikwa-e-KHuban-e-atshin-ruKHsar
azal se waqf hai dil sozish-e-nihan ke liye
KHuda kare ye samajh le maal-e-ishq-e-butan
du'a karo koi 'mahrum'-e-KHasta-jaan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.