na phul hun na sitara hun aur na shoala hun
na phuul huuñ na sitāra huuñ aur na sho.ala huuñ
guhar huuñ dard kā aur ashk ban ke rahtā huuñ
vo ek bachcha hai hasrat se dekhtā hai mujhe
maiñ us ke haath meñ TuuTā huā khilaunā huuñ
ye soch kar ki bichhaḌnā hai ek din ḳhud se
maiñ apne-āp se pahroñ lipaT ke royā huuñ
ajiib shaḳhs mirī zindagī meñ aayā thā
na yaad rakhūñ use aur na bhuul saktā huuñ
laraz rahī haiñ mirī uñgliyāñ qalam thāme
na jaane aaj maiñ kyā baat likhne vaalā huuñ
mujhe pukār ki maiñ Duub hī na jā.ūñ kahīñ
maiñ be-qarār samundar meñ ik jazīra huuñ
guzar chuke haiñ bahut kārvāñ idhar se 'sarosh'
magar maiñ apne hī gard-e-safar se lipTā huuñ
na phul hun na sitara hun aur na shoala hun
guhar hun dard ka aur ashk ban ke rahta hun
wo ek bachcha hai hasrat se dekhta hai mujhe
main us ke hath mein TuTa hua khilauna hun
ye soch kar ki bichhaDna hai ek din KHud se
main apne-ap se pahron lipaT ke roya hun
ajib shaKHs meri zindagi mein aaya tha
na yaad rakhun use aur na bhul sakta hun
laraz rahi hain meri ungliyan qalam thame
na jaane aaj main kya baat likhne wala hun
mujhe pukar ki main Dub hi na jaun kahin
main be-qarar samundar mein ek jazira hun
guzar chuke hain bahut karwan idhar se 'sarosh'
magar main apne hi gard-e-safar se lipTa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.