na puchh dost ki kitna KHarab hota hai
na puchh dost ki kitna KHarab hota hai
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
na pūchh dost kī kitnā ḳharāb hotā hai
bas itnā jaan zamāna ḳharāb hotā hai
ye ishq hai na jo ye dil kī ik ḳharābī hai
ḳharābiyoñ kā natīja ḳharāb hotā hai
ajab mizāj kī duniyā hai ye ki is ke liye
ḳharāb achchhā to achchhā ḳharāb hotā hai
huzūr chhoḌiye ye amn-o-vamn kī bāteñ
siyāsī logoñ kā dhandā ḳharāb hotā hai
koī kisī bhī samay jhaT se toḌ saktā hai
umiid sab se lagānā ḳharāb hotā hai
sharāb paisa anā ḳhvāb ishq yā ki suḳhan
kisī bhī shai kā ho nashsha ḳharāb hotā hai
udaas mat ho miyāñ hai ye imtihān-e-zīst
is imtihān meñ parcha ḳharāb hotā hai
na puchh dost ki kitna KHarab hota hai
bas itna jaan zamana KHarab hota hai
ye ishq hai na jo ye dil ki ek KHarabi hai
KHarabiyon ka natija KHarab hota hai
ajab mizaj ki duniya hai ye ki is ke liye
KHarab achchha to achchha KHarab hota hai
huzur chhoDiye ye amn-o-wamn ki baaten
siyasi logon ka dhanda KHarab hota hai
koi kisi bhi samay jhaT se toD sakta hai
umid sab se lagana KHarab hota hai
sharab paisa ana KHwab ishq ya ki suKHan
kisi bhi shai ka ho nashsha KHarab hota hai
udas mat ho miyan hai ye imtihan-e-zist
is imtihan mein parcha KHarab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.