na puchh humse hamari uDan chhoD na yar
na pūchh ham se hamārī uḌaan chhoḌ na yaar
baḌī tavīl hai ye dāstān chhoḌ na yaar
nikal paḌe jo safar meñ to sochnā kaisā
kahāñ hai dhuup kahāñ sā.ebān chhoḌ na yaar
dabī hai aag jo dil meñ use kuredo mat
yahīñ kahīñ thā hamārā makān chhoḌ na yaar
ye soch ham ko pahuñchnā hai apnī manzil tak
na gin kisī ke qadam ke nishān chhoḌ na yaar
ḳhushī thī muul to ġham thā byaaj ke jaisā
tamām umr bharā hai lagān chhoḌ na yaar
huā hai zindagī bhar kī jugāḌ roTī kā
bikī hai qistoñ meñ apnī dukān chhoḌ na yaar
libās sunnatī hai ummatī mohammadī huuñ
na pūchh ab ye nasab ḳhāndān chhoḌ na yaar
ye sab bulandiyāñ allāh ke liye haiñ 'chāñd'
maqām martaba rutba ye shaan chhoḌ na yaar
na puchh hum se hamari uDan chhoD na yar
baDi tawil hai ye dastan chhoD na yar
nikal paDe jo safar mein to sochna kaisa
kahan hai dhup kahan saeban chhoD na yar
dabi hai aag jo dil mein use kuredo mat
yahin kahin tha hamara makan chhoD na yar
ye soch hum ko pahunchna hai apni manzil tak
na gin kisi ke qadam ke nishan chhoD na yar
KHushi thi mul to gham tha byaj ke jaisa
tamam umr bhara hai lagan chhoD na yar
hua hai zindagi bhar ki jugaD roTi ka
biki hai qiston mein apni dukan chhoD na yar
libas sunnati hai ummati mohammadi hun
na puchh ab ye nasab KHandan chhoD na yar
ye sab bulandiyan allah ke liye hain 'chand'
maqam martaba rutba ye shan chhoD na yar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.