na puchh mujhse tu kaise kahan se laDna hai
na pūchh mujh se tū kaise kahāñ se laḌnā hai
zamīñ pe rah ke mujhe āsmāñ se laḌnā hai
hamārī zid hai ki ham ko fulāñ se laḌnā hai
samajh meñ aatā nahīñ hai kahāñ se laḌnā hai
ye shahryār hī mere chaman kā dushman hai
isī liye to ġham-e-bostāñ se laḌnā hai
har ek raat isī fikr meñ guzartī hai
ki sub.h hote hī phir jism-o-jāñ se laḌnā hai
zabāñ ko teġh-o-tabar kis liye banāoge
ai bad-zabāñ tumheñ ik be-zabāñ se laḌnā hai
ye kah rahī haiñ havā.eñ ki rut bhī badlegī
chaman meñ saare guloñ ko ḳhizāñ se laḌnā hai
mire junūn ko 'armān' duniyā kuchh bhī kahe
javāb-e-vā.iz-chābuk-zabāñ se laḌnā hai
na puchh mujh se tu kaise kahan se laDna hai
zamin pe rah ke mujhe aasman se laDna hai
hamari zid hai ki hum ko fulan se laDna hai
samajh mein aata nahin hai kahan se laDna hai
ye shahryar hi mere chaman ka dushman hai
isi liye to gham-e-bostan se laDna hai
har ek raat isi fikr mein guzarti hai
ki subh hote hi phir jism-o-jaan se laDna hai
zaban ko tegh-o-tabar kis liye banaoge
ai bad-zaban tumhein ek be-zaban se laDna hai
ye kah rahi hain hawaen ki rut bhi badlegi
chaman mein sare gulon ko KHizan se laDna hai
mere junun ko 'arman' duniya kuchh bhi kahe
jawab-e-waiz-chabuk-zaban se laDna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.