na puchh uski jo apne andar chhupa
na pūchh us kī jo apne andar chhupā
ġhanīmat ki maiñ apne bāhar chhupā
mujhe yaañ kisī pe bharosā nahīñ
maiñ apnī nigāhoñ se chhup kar chhupā
pahuñch muḳhbiroñ kī suḳhan tak kahāñ
so maiñ apne hoñToñ pe aksar chhupā
mirī sun na rakh apne pahlū meñ dil
ise tū kisī aur ke ghar chhupā
yahāñ tere andar nahīñ merī ḳhair
mirī jaañ mujhe mere andar chhupā
ḳhayāloñ kī aamad meñ ye ḳhārzār
hai tīroñ kī yalġhār tū sar chhupā
na puchh us ki jo apne andar chhupa
ghanimat ki main apne bahar chhupa
mujhe yan kisi pe bharosa nahin
main apni nigahon se chhup kar chhupa
pahunch muKHbiron ki suKHan tak kahan
so main apne honTon pe aksar chhupa
meri sun na rakh apne pahlu mein dil
ise tu kisi aur ke ghar chhupa
yahan tere andar nahin meri KHair
meri jaan mujhe mere andar chhupa
KHayalon ki aamad mein ye KHarzar
hai tiron ki yalghaar tu sar chhupa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.