na puchho aql ki charbi chaDhi hai uski boTi par
na pūchho aql kī charbī chaḌhī hai us kī boTī par
kisī shai kā asar hotā nahīñ kam-baḳht moTī par
kafan se dūsroñ ke jo silāte haiñ libās apnā
vo jazbe hañs rahe haiñ ishq-e-sāda kī lañgoTī par
yahī aish ek din ahl-e-havas kā ḳhuun chāTegā
abhī kuchh din lagā rakkheñ vo is kutte ko roTī par
na jaane kaise nāzuk taar ko mizrāb ne chheḌā
ki vajd āḳhir unheñ bhī aa gayā nochā kasauTī par
mohabbat kuchh baḌī hai umr meñ aur hai havas chhoTī
magar dil hai ki hai sau jaan se lahlūt chhoTī par
na puchho aql ki charbi chaDhi hai us ki boTi par
kisi shai ka asar hota nahin kam-baKHt moTi par
kafan se dusron ke jo silate hain libas apna
wo jazbe hans rahe hain ishq-e-sada ki langoTi par
yahi aish ek din ahl-e-hawas ka KHun chaTega
abhi kuchh din laga rakkhen wo is kutte ko roTi par
na jaane kaise nazuk tar ko mizrab ne chheDa
ki wajd aaKHir unhen bhi aa gaya nocha kasauTi par
mohabbat kuchh baDi hai umr mein aur hai hawas chhoTi
magar dil hai ki hai sau jaan se lahlut chhoTi par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.