na puchho mere dil se kya chahta hun
na pūchho mire dil se kyā chāhtā huuñ
tumhārī vafā bevafā chāhtā huuñ
dhaḌaktā hai dil aur jigar bhī hai muztar
tirā husn maiñ dekhnā chāhtā huuñ
maiñ dard-e-mohabbat ko dil meñ chhupā kar
pareshāñ huuñ is kī davā chāhtā huuñ
bahut zaḳhm gahrā huā jā rahā hai
nigāhoñ se terī shifā chāhtā huuñ
tahammul se bāhar hai ye dard merā
buzurgoñ kī ab maiñ duā chāhtā huuñ
jhalak to dikhā āḳhir ai vā-e-qismat
tirā jalva maiñ barmalā chāhtā huuñ
tire sāmne dil kī sab baat kah dī
baḌā be-adab huuñ sazā chāhtā huuñ
mire dil meñ jis kā bhī hai ishq 'ahqar'
usī par maiñ qurbāñ huā chāhtā huuñ
na puchho mere dil se kya chahta hun
tumhaari wafa bewafa chahta hun
dhaDakta hai dil aur jigar bhi hai muztar
tera husn main dekhna chahta hun
main dard-e-mohabbat ko dil mein chhupa kar
pareshan hun is ki dawa chahta hun
bahut zaKHm gahra hua ja raha hai
nigahon se teri shifa chahta hun
tahammul se bahar hai ye dard mera
buzurgon ki ab main dua chahta hun
jhalak to dikha aaKHir ai wa-e-qismat
tera jalwa main barmala chahta hun
tere samne dil ki sab baat kah di
baDa be-adab hun saza chahta hun
mere dil mein jis ka bhi hai ishq 'ahqar'
usi par main qurban hua chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.