na puchho ye mujhse ki kya dekhta hun
na puchho ye mujhse ki kya dekhta hun
Raja Karan Prasad Karan
MORE BYRaja Karan Prasad Karan
na pūchho ye mujh se ki kyā dekhtā huuñ
maiñ har shai meñ shān-e-ḳhudā dekhtā huuñ
haiñ duniyā meñ yuuñ to hazāroñ manāzir
maiñ manzar hī koī nayā dekhtā huuñ
garebāñ meñ muñh Daal kar jab bhī dekhā
ḳhatā maiñ to apnī sadā dekhtā huuñ
musībat koī hind par aa rahī hai
maiñ mashriq meñ kaalī ghaTā dekhtā huuñ
namak-pāshiyāñ un kī rahtī haiñ jaarī
maiñ zaḳhmoñ ko apne harā dekhtā huuñ
udhar barq ne āshiyāna jalāyā
idhar maiñ khaḌā dil jalā dekhtā huuñ
vo aa.e haiñ ghar meñ mire yā-ilāhī
maiñ ujḌā huā ghar basā dekhtā huuñ
nazar meñ mere hech hai saarī duniyā
tirā aasrā ai ḳhudā dekhtā huuñ
bhaveñ tan ga.e merī sunte hī bāteñ
hilāloñ ko laḌtā huā dekhtā huuñ
'karan' ho na ho aaj us gul se milnā
maiñ mar kar hī ik gul khilā dekhtā huuñ
na puchho ye mujh se ki kya dekhta hun
main har shai mein shan-e-KHuda dekhta hun
hain duniya mein yun to hazaron manazir
main manzar hi koi naya dekhta hun
gareban mein munh Dal kar jab bhi dekha
KHata main to apni sada dekhta hun
musibat koi hind par aa rahi hai
main mashriq mein kali ghaTa dekhta hun
namak-pashiyan un ki rahti hain jari
main zaKHmon ko apne hara dekhta hun
udhar barq ne aashiyana jalaya
idhar main khaDa dil jala dekhta hun
wo aae hain ghar mein mere ya-ilahi
main ujDa hua ghar basa dekhta hun
nazar mein mere hech hai sari duniya
tera aasra ai KHuda dekhta hun
bhawen tan gae meri sunte hi baaten
hilalon ko laDta hua dekhta hun
'karan' ho na ho aaj us gul se milna
main mar kar hi ek gul khila dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.