Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na pyare upar upar mal har subh-o-masa chakhkho

Mushafi Ghulam Hamdani

na pyare upar upar mal har subh-o-masa chakhkho

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    na pyāre uupar uupar maal har sub.h-o-masā chakhkho

    hamāre paas bhī ik raat to so kar mazā chakhkho

    milā do dil ko apne dil se mere ek ho jaao

    badan ko vasl kar do lazzat-e-mehr-o-vafā chakhkho

    kabāb-e-laḳht-e-dil mere namak sūd-e-mohabbat haiñ

    tumhāre vāste laayā huuñ siine par zarā chakhkho

    rakho nok-e-zabāñ par bhar ke uñglī ḳhuun se mere

    ye mīThā hai ki kaḌvā Tuk to is zā.iqa chakhkho

    sahar ḳhurshīd laave gar tumhāre sāmne gurda

    samajh kar 'mus.hafī' tum us ko apnā nāshta chakhkho

    na pyare upar upar mal har subh-o-masa chakhkho

    hamare pas bhi ek raat to so kar maza chakhkho

    mila do dil ko apne dil se mere ek ho jao

    badan ko wasl kar do lazzat-e-mehr-o-wafa chakhkho

    kabab-e-laKHt-e-dil mere namak sud-e-mohabbat hain

    tumhaare waste laya hun sine par zara chakhkho

    rakho nok-e-zaban par bhar ke ungli KHun se mere

    ye miTha hai ki kaDwa Tuk to is ka zaiqa chakhkho

    sahar KHurshid lawe gar tumhaare samne gurda

    samajh kar 'mushafi' tum us ko apna nashta chakhkho

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(haftum) (Pg. 208)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now