na qasida na ghazal aur na rubai likhiye
na qasīda na ġhazal aur na rubā.ī likhiye
daur-e-maujūda meñ kuchh dil kī tabāhī likhiye
zaḳhm-ḳhurda ġham-e-daurāñ se haiñ jazbāt-e-latīf
husn aur ishq kī kyā mad.h-sarā.ī likhiye
bujh ga.e dil meñ ummīdoñ ke charāġh-e-raushan
yās-o-hirmāñ ke añdheroñ kī siyāhī likhiye
ab to duniyā meñ haiñ yūsuf ke barādar lākhoñ
dushman-e-jāñ kise likhiye kise bhaa.ī likhiye
taḳht-e-fir.aun pe baiThe haiñ jo insāñ-dushman
ham se kahte haiñ unheñ zill-e-ilāhī likhiye
kis adālat meñ kareñ pesh muqadma dil kā
ab kaheñ kis se ki ashkoñ kī gavāhī likhiye
na qasida na ghazal aur na rubai likhiye
daur-e-maujuda mein kuchh dil ki tabahi likhiye
zaKHm-KHurda gham-e-dauran se hain jazbaat-e-latif
husn aur ishq ki kya madh-sarai likhiye
bujh gae dil mein ummidon ke charagh-e-raushan
yas-o-hirman ke andheron ki siyahi likhiye
ab to duniya mein hain yusuf ke baradar lakhon
dushman-e-jaan kise likhiye kise bhai likhiye
taKHt-e-firaun pe baiThe hain jo insan-dushman
hum se kahte hain unhen zill-e-ilahi likhiye
kis adalat mein karen pesh muqadma dil ka
ab kahen kis se ki ashkon ki gawahi likhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.