na rah-rau hain ikaTTha na rah-dan paida
na rāh-rau haiñ ikaTThā na rāh-dāñ paidā
to kyā zamīn se ho jaa.e kārvāñ paidā
mashaqqatoñ se na ghabrā na zahmatoñ se kabhī
ki phuul hote haiñ kāñToñ ke darmiyāñ paidā
vo ḳhalq-o-amr ke mālik haiñ vo agar chāheñ
to ik ishāre se hote haiñ sau jahāñ paidā
zamīñ ko gardish-e-aflāk se najāt nahīñ
“ba-har zamīñ ki rasīdem āsmāñ paidā”
tumhīñ bahār ho mere liye ki hotā hai
tumhāre āriz-e-gul-gūñ se gulsitāñ paidā
batāo kaun hai jis kā jamāl-e-jāñ-parvar
ba-har-makāñ hai numūdār o har-zamāñ paidā
'urūj' tū na ho ġhamgīñ hujūm-e-a.adā se
isī hujūm se hote haiñ mehrbāñ paidā
na rah-rau hain ikaTTha na rah-dan paida
to kya zamin se ho jae karwan paida
mashaqqaton se na ghabra na zahmaton se kabhi
ki phul hote hain kanTon ke darmiyan paida
wo KHalq-o-amr ke malik hain wo agar chahen
to ek ishaare se hote hain sau jahan paida
zamin ko gardish-e-aflak se najat nahin
“ba-har zamin ki rasidem aasman paida”
tumhin bahaar ho mere liye ki hota hai
tumhaare aariz-e-gul-gun se gulsitan paida
batao kaun hai jis ka jamal-e-jaan-parwar
ba-har-makan hai numudar o har-zaman paida
'uruj' tu na ho ghamgin hujum-e-ada se
isi hujum se hote hain mehrban paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.