na ras aai chaman-zar ki faza mujhko
na raas aa.ī chaman-zār kī fazā mujh ko
mizāj-e-barq ne be-ghar banā diyā mujh ko
tamām umr bhaTakte rahe jo rāhoñ meñ
dikhā rahe haiñ vahī aaj rāstā mujh ko
hujūm-e-dard meñ dil ne to sab kā saath diyā
milā na apne hī ashkoñ kā ham-navā mujh ko
vo paas the to har ik shai meñ dil dhaḌaktā thā
vo duur haiñ to khaTaktī hai har fazā mujh ko
ye kārvāñ na mirī gumrahī pe yuuñ hañstā
rah-e-talab meñ jo milte vo naqsh-e-pā mujh ko
qadam qadam pe sañvārā jinheñ mohabbat meñ
samajh rahe haiñ vahī ab shikasta-pā mujh ko
koī rafīq na rahbar na koī rāhguzar
uḌā ke laa.ī hai kis shahr meñ havā mujh ko
'hayāt' dukhtī huī rag ko kis ne chheḌ diyā
uThī vo Tiis ki yaad aa gayā ḳhudā mujh ko
na ras aai chaman-zar ki faza mujh ko
mizaj-e-barq ne be-ghar bana diya mujh ko
tamam umr bhaTakte rahe jo rahon mein
dikha rahe hain wahi aaj rasta mujh ko
hujum-e-dard mein dil ne to sab ka sath diya
mila na apne hi ashkon ka ham-nawa mujh ko
wo pas the to har ek shai mein dil dhaDakta tha
wo dur hain to khaTakti hai har faza mujh ko
ye karwan na meri gumrahi pe yun hansta
rah-e-talab mein jo milte wo naqsh-e-pa mujh ko
qadam qadam pe sanwara jinhen mohabbat mein
samajh rahe hain wahi ab shikasta-pa mujh ko
koi rafiq na rahbar na koi rahguzar
uDa ke lai hai kis shahr mein hawa mujh ko
'hayat' dukhti hui rag ko kis ne chheD diya
uThi wo Tis ki yaad aa gaya KHuda mujh ko
- Book : bu-e-saman (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.