na ras aaya tasawwur mein qurbaten rakhna
na raas aaya tasavvur meñ qurbateñ rakhnā
kisī ke naam se be-vaj.h nisbateñ rakhnā
jahāñ bhī aap pe ilzām aane vaalā ho
mirī qasam hai vahāñ mujh pe tohmateñ rakhnā
rivāyatoñ se baġhāvat ke baad mushkil hai
guzishta daur kī qaa.em rivāyateñ rakhnā
mujh aise ḳhvāb meñ jin kī nahīñ koī ta.abīr
tum aise ḳhvāboñ kī dil meñ na hasrateñ rakhnā
vo be-naqāb huā hai na hone vaalā hai
abas hai diid kī āñkhoñ meñ hasrateñ rakhnā
ḳhulūs-e-dil se milo har kisī se ai 'rāhī'
tumhārā kaam nahīñ hai riqābateñ rakhnā
na ras aaya tasawwur mein qurbaten rakhna
kisi ke nam se be-wajh nisbaten rakhna
jahan bhi aap pe ilzam aane wala ho
meri qasam hai wahan mujh pe tohmaten rakhna
riwayaton se baghawat ke baad mushkil hai
guzishta daur ki qaem riwayaten rakhna
mujh aise KHwab mein jin ki nahin koi tabir
tum aise KHwabon ki dil mein na hasraten rakhna
wo be-naqab hua hai na hone wala hai
abas hai did ki aankhon mein hasraten rakhna
KHulus-e-dil se milo har kisi se ai 'rahi'
tumhaara kaam nahin hai riqabaten rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.