na rasta na safar ka jawaz mangte hain
na rāsta na safar kā javāz māñgte haiñ
ham apnā khoyā huā raḳht-o-sāz māñgte haiñ
garāñ guzartā hai hamvār rāstoñ kā safar
masāfatoñ se nasheb-o-farāz māñgte haiñ
hamārī ziist ke hālāt itne zālim haiñ
vo aañkh jo rahe har lamha baaz māñgte haiñ
hameñ to jaañ ke alāva nahīñ hai kuchh denā
ye āstāñ to jabīn-e-niyāz māñgte haiñ
ġhanī faqīr ko kar de amiir ko muhtāj
usī se ek dil-e-be-niyāz māñgte haiñ
na rasta na safar ka jawaz mangte hain
hum apna khoya hua raKHt-o-saz mangte hain
garan guzarta hai hamwar raston ka safar
masafaton se nasheb-o-faraaz mangte hain
hamari zist ke haalat itne zalim hain
wo aankh jo rahe har lamha baz mangte hain
hamein to jaan ke alawa nahin hai kuchh dena
ye aastan to jabin-e-niyaz mangte hain
ghani faqir ko kar de amir ko muhtaj
usi se ek dil-e-be-niyaz mangte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.