na rahnuma na kisi rahzan ki fikr karo
na rahnumā na kisī rāhzan kī fikr karo
girī hai barq jahāñ us chaman kī fikr karo
tumhīñ se husn-e-gulistāñ tumhīñ se rang-e-bahār
sajī sajā.ī huī anjuman kī fikr karo
kamand chāñd sitāroñ pe Dālne vaalo
darāz-dastī-e-charḳh-e-kuhan kī fikr karo
tum apnī kākul-e-ambar-fishāñ na bikhrāo
ḳhirad ke shāna-e-mashshāta-fan kī fikr karo
adā-e-husn kī ma.asūmiyat pe shak na karo
nigāh-e-sāqī-e-paimāñ-shikan kī fikr karo
zamīn-e-sher-o-suḳhan sho.ala-bār hai 'tasnīm'
tum is zamīñ meñ na sher-o-suḳhan kī fikr karo
na rahnuma na kisi rahzan ki fikr karo
giri hai barq jahan us chaman ki fikr karo
tumhin se husn-e-gulistan tumhin se rang-e-bahaar
saji sajai hui anjuman ki fikr karo
kamand chand sitaron pe Dalne walo
daraaz-dasti-e-charKH-e-kuhan ki fikr karo
tum apni kakul-e-ambar-fishan na bikhrao
KHirad ke shana-e-mashshata-fan ki fikr karo
ada-e-husn ki masumiyat pe shak na karo
nigah-e-saqi-e-paiman-shikan ki fikr karo
zamin-e-sher-o-suKHan shoala-bar hai 'tasnim'
tum is zamin mein na sher-o-suKHan ki fikr karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.