na ramz mein kisi mani mein na sawal mein hai
na ramz meñ kisī mā'nī meñ na savāl meñ hai
ye merā khoyā huā dil tire ḳhayāl meñ hai
na ab sukūn mile nā ise qarār kahīñ
na ab ḳhamosh hai dil aur na 'arz-e-hāl meñ hai
tirī jabīñ pe jo ik baar jagmagāyā thā
vo ik sitāra mere lamha-e-visāl meñ hai
palaT ke tū ne jo dekhā to yuuñ lagā mujh ko
ki mere pyaar kā hāsil tire kamāl meñ hai
jo be-qarār thī kahne ko vo zabāñ guñg hai
na ziist rah ga.ī is meñ na ye malāl meñ hai
na ramz mein kisi ma'ni mein na sawal mein hai
ye mera khoya hua dil tere KHayal mein hai
na ab sukun mile na ise qarar kahin
na ab KHamosh hai dil aur na 'arz-e-haal mein hai
teri jabin pe jo ek bar jagmagaya tha
wo ek sitara mere lamha-e-visal mein hai
palaT ke tu ne jo dekha to yun laga mujh ko
ki mere pyar ka hasil tere kamal mein hai
jo be-qarar thi kahne ko wo zaban gung hai
na zist rah gai is mein na ye malal mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.