Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na rukte hain aansu na thamte hain nale

Qamar Jalalvi

na rukte hain aansu na thamte hain nale

Qamar Jalalvi

na rukte haiñ aañsū na thamte haiñ naale

kaho koī kaise mohabbat chhupā le

kare koī kyā gar vo aa.eñ yakāyak

nigāhoñ ko roke ki dil ko sañbhāle

chaman vaale bijlī se bole na chāle

ġharīboñ ke ghar be-ḳhatā phūñk Daale

qayāmat haiñ zālim nīchī nigāheñ

ḳhudā jaane kyā ho jo nazreñ uThā le

karūñ aisā sajda vo ghabrā ke kah deñ

ḳhudā ke liye ab to sar ko uThā le

tumheñ banda-parvar hamīñ jānte haiñ

baḌe sīdhe-sādhe baḌe bhole-bhāle

bas itnī duurī ye maiñ huuñ ye manzil

kahāñ aa ke phūTe haiñ paaoñ ke chhāle

'qamar' maiñ huuñ muḳhtār tanzīm-e-shab

haiñ mere bas meñ añdhere ujāle

na rukte hain aansu na thamte hain nale

kaho koi kaise mohabbat chhupa le

kare koi kya gar wo aaen yakayak

nigahon ko roke ki dil ko sanbhaale

chaman wale bijli se bole na chaale

gharibon ke ghar be-KHata phunk Dale

qayamat hain zalim ki nichi nigahen

KHuda jaane kya ho jo nazren uTha le

karun aisa sajda wo ghabra ke kah den

KHuda ke liye ab to sar ko uTha le

tumhein banda-parwar hamin jaante hain

baDe sidhe-sadhe baDe bhole-bhaale

bas itni si duri ye main hun ye manzil

kahan aa ke phuTe hain paon ke chhaale

'qamar' main hun muKHtar tanzim-e-shab ka

hain mere hi bas mein andhere ujale

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Nusrat Fateh Ali Khan

Nusrat Fateh Ali Khan

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now