na sani jab mazaq-e-husn ko apna nazar aaya
na saanī jab mazāq-e-husn ko apnā nazar aayā
nigāh-e-shauq tak le kar payām-e-fitna-gar aayā
kahā lā-raib baḌh kar ilm-o-dānish ne aqīdat se
jo bazm-e-ahl-e-fan meñ aaj mujh sā be-hunar aayā
sar-e-mahfil churānā mujh se dāman is kā zāmin hai
nahīñ aayā agar mujh tak ba-andāz-e-digar aayā
bahut ai dil tirī rūdād-e-ġham ne tuul khīñchā hai
kabhī vo but bhī sunñe ko ye qissa muḳhtasar aayā
hamārī ik ḳhatā ne ḳhuld se duniyā meñ lā pheñkā
agar dar-pesh duniyā se bhī phir koī safar aayā
maiñ ḳhud hī bevafā huuñ be-adab huuñ apnā qātil huuñ
har ik ilzām mere sar ba-alfāz-e-digar aayā
mukaddar kuchh fazā 'gulzār' dillī meñ sahī lekin
kahīñ ahl-e-zabāñ ham sā bhī urdu meñ nazar aayā
na sani jab mazaq-e-husn ko apna nazar aaya
nigah-e-shauq tak le kar payam-e-fitna-gar aaya
kaha la-raib baDh kar ilm-o-danish ne aqidat se
jo bazm-e-ahl-e-fan mein aaj mujh sa be-hunar aaya
sar-e-mahfil churana mujh se daman is ka zamin hai
nahin aaya agar mujh tak ba-andaz-e-digar aaya
bahut ai dil teri rudad-e-gham ne tul khincha hai
kabhi wo but bhi sunne ko ye qissa muKHtasar aaya
hamari ek KHata ne KHuld se duniya mein la phenka
agar dar-pesh duniya se bhi phir koi safar aaya
main KHud hi bewafa hun be-adab hun apna qatil hun
har ek ilzam mere sar ba-alfaz-e-digar aaya
mukaddar kuchh faza 'gulzar' dilli mein sahi lekin
kahin ahl-e-zaban hum sa bhi urdu mein nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.