na sathi hai na manzil ka pata hai
na sāthī hai na manzil kā pata hai
mohabbat rāsta hī rāsta hai
vafā ke naam par barbād ho kar
vafā ke naam se dil kāñptā hai
maiñ ab tere sivā kis ko pukārūñ
muqaddar so gayā ġham jāgtā hai
vo sab kuchh jaan kar anjān kyuuñ haiñ
sunā hai dil ko dil pahchāntā hai
ye aañsū DhūñDtā hai terā dāman
musāfir apnī manzil jāntā hai
na sathi hai na manzil ka pata hai
mohabbat rasta hi rasta hai
wafa ke nam par barbaad ho kar
wafa ke nam se dil kanpta hai
main ab tere siwa kis ko pukarun
muqaddar so gaya gham jagta hai
wo sab kuchh jaan kar anjaan kyun hain
suna hai dil ko dil pahchanta hai
ye aansu DhunDta hai tera daman
musafir apni manzil jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.