na sahi aap hamare jo muqaddar mein nahin
na sahī aap hamāre jo muqaddar meñ nahīñ
ab vo pahlī sī taḌap bhī dil-e-muztar meñ nahīñ
aap kī baat kī vaq.at nahīñ aslan dil meñ
aap dam bhar meñ to haañ karte haiñ dam bhar meñ nahīñ
mujh ko bāvar to jab aa.e ki kuchh ummīd bhī ho
likh diyā ḳhat meñ vo us ne jo muqaddar meñ nahīñ
maiñ ne pūchhā thā kaho aur satāoge mujhe
muñh se niklī hai sitam-gar ke ghaḌī bhar meñ nahīñ
aap kyuuñ zikr se 'beḳhud' ke ḳhajil hote haiñ
ye to vo naam hai jo aap ke daftar meñ nahīñ
na sahi aap hamare jo muqaddar mein nahin
ab wo pahli si taDap bhi dil-e-muztar mein nahin
aap ki baat ki waqat nahin aslan dil mein
aap dam bhar mein to han karte hain dam bhar mein nahin
mujh ko bawar to jab aae ki kuchh ummid bhi ho
likh diya KHat mein wo us ne jo muqaddar mein nahin
main ne puchha tha kaho aur sataoge mujhe
munh se nikli hai sitam-gar ke ghaDi bhar mein nahin
aap kyun zikr se 'beKHud' ke KHajil hote hain
ye to wo nam hai jo aap ke daftar mein nahin
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 170)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.