na sahra hai na ab diwar-o-dar hai
na sahrā hai na ab dīvār-o-dar hai
chaman meñ naġhma-gar sāz-e-sahar hai
surāġh-e-kārvān-e-rañg-o-bū se
sabā āvāra-e-gard-e-safar hai
asīro ab dar-e-zindāñ karo baaz
sar-e-nāḳhun koī uqd-e-guhar hai
nadīmo daad do ahl-e-junūñ ko
namak-dāñ zaḳhm-e-pā hai zaḳhm-e-sar hai
na sahra hai na ab diwar-o-dar hai
chaman mein naghma-gar saz-e-sahar hai
suragh-e-karwan-e-rang-o-bu se
saba aawara-e-gard-e-safar hai
asiro ab dar-e-zindan karo baz
sar-e-naKHun koi uqd-e-guhar hai
nadimo dad do ahl-e-junun ko
namak-dan zaKHm-e-pa hai zaKHm-e-sar hai
- Book : Taqdeer-e-hina (Pg. 56)
- Author : Arshi Bhopali
- Publication : Hind Offset Printers, Bhopal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.