na samaaton mein tapish ghule na nazar ko waqf-e-azab kar
na samā'atoñ meñ tapish ghule na nazar ko vaqf-e-azāb kar
jo sunā.ī de use chup sikhā jo dikhā.ī de use ḳhvāb kar
abhī muntashir na ho ajnabī na visāl-rut ke karam jatā
jo tirī talāsh meñ gum hue kabhī un dinoñ kā hisāb kar
mire sabr par koī ajr kyā mirī dopahar pe ye abr kyoñ
mujhe oḌhne de aziyyateñ mirī 'ādateñ na ḳharāb kar
kahīñ ābloñ ke bhañvar bajeñ kahīñ dhūp-rūp badan sajeñ
kabhī dil ko thal kā mizāj de kabhī chashm-e-tar ko chanāb kar
ye hujūm-e-shahr-e-sitam-garāñ na sunegā terī sadā kabhī
mirī hasratoñ ko suḳhan sunā mirī ḳhvāhishoñ se ḳhitāb kar
na sama'aton mein tapish ghule na nazar ko waqf-e-azab kar
jo sunai de use chup sikha jo dikhai de use KHwab kar
abhi muntashir na ho ajnabi na visal-rut ke karam jata
jo teri talash mein gum hue kabhi un dinon ka hisab kar
mere sabr par koi ajr kya meri dopahar pe ye abr kyon
mujhe oDhne de aziyyaten meri 'adaten na KHarab kar
kahin aablon ke bhanwar bajen kahin dhup-rup badan sajen
kabhi dil ko thal ka mizaj de kabhi chashm-e-tar ko chanab kar
ye hujum-e-shahr-e-sitam-garan na sunega teri sada kabhi
meri hasraton ko suKHan suna meri KHwahishon se KHitab kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.