na samjhe koi us se dushmani hai
na samjhe koī us se dushmanī hai
mirī ik kam-suḳhan se dostī hai
sabhī ke kaam aa.e ibn-e-ādam
yahī dar-asl husn-e-zindagī hai
jise paḌhnā ho is meñ paḌh le sab kuchh
khulī merī kitāb-e-zindagī hai
mire kis kaam kā aisā samundar
lab-e-sāhil bhī jis ke tishnagī hai
ho rūdād-e-zamāna kī jo maz.har
vahī dar-asl rūh-e-shā.erī hai
mire dil par hai jis kī hukmrānī
abhī us meñ adā-e-kam-sinī hai
hai jis kā aaj girvīda zamāna
jahān-e-rañg-o-bū ye 'ārzī hai
ajam kī tarah hai gūñgā 'arab bhī
ye us kī maslahat yā be-hisī hai
nahīñ fursat tan-āsānī se us ko
alam-añgez ye ādam-kushī hai
bapā hai hashr se pahle hī mahshar
kahīñ duḳhtar kahīñ mādar paḌī hai
koī shatranj-bāzī meñ hai mashġhūl
kisī kī jaan par apnī banī hai
duā-e-ahl-e-ġhazza sun le yārab
musībat kī ye ik aisī ghaḌī hai
unheñ hai sirf terā hī sahārā
jahāñ bhaa.ī se bhaa.ī ajnabī hai
agar is meñ ho 'barqī' ādmiyyat
farishtoñ se bhī afzal aadmī hai
na samjhe koi us se dushmani hai
meri ek kam-suKHan se dosti hai
sabhi ke kaam aae ibn-e-adam
yahi dar-asl husn-e-zindagi hai
jise paDhna ho is mein paDh le sab kuchh
khuli meri kitab-e-zindagi hai
mere kis kaam ka aisa samundar
lab-e-sahil bhi jis ke tishnagi hai
ho rudad-e-zamana ki jo mazhar
wahi dar-asl ruh-e-shaeri hai
mere dil par hai jis ki hukmrani
abhi us mein ada-e-kam-sini hai
hai jis ka aaj girwida zamana
jahan-e-rang-o-bu ye 'arzi hai
ajam ki tarah hai gunga 'arab bhi
ye us ki maslahat ya be-hisi hai
nahin fursat tan-asani se us ko
alam-angez ye aadam-kushi hai
bapa hai hashr se pahle hi mahshar
kahin duKHtar kahin madar paDi hai
koi shatranj-bazi mein hai mashghul
kisi ki jaan par apni bani hai
dua-e-ahl-e-ghazza sun le yarab
musibat ki ye ek aisi ghaDi hai
unhen hai sirf tera hi sahaara
jahan bhai se bhai ajnabi hai
agar is mein ho 'barqi' aadmiyyat
farishton se bhi afzal aadmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.