na shahr mein na kisi dasht-e-hu mein KHak hue
na shahr meñ na kisī dasht-e-hū meñ ḳhaak hue
hamāre ḳhvāb hamāre lahū meñ ḳhaak hue
kisī ke haath lagā kab vo māhtāb-badan
ka.ī jiyāle vahīñ justujū meñ ḳhaak hue
dhuāñ sā uThtā hai dil se jo sochtā huuñ kabhī
vo kaun the jo mirī aarzū meñ ḳhaak hue
the kitne giit jo āvāz ko taraste rahe
hazār raag rag-e-ḳhush-gulū meñ ḳhaak hue
ab is se achchhā-bhalā iḳhtitām kyā hotā
uThe the maiñ se magar jā ke tū meñ ḳhaak hue
na shahr mein na kisi dasht-e-hu mein KHak hue
hamare KHwab hamare lahu mein KHak hue
kisi ke hath laga kab wo mahtab-badan
kai jiyale wahin justuju mein KHak hue
dhuan sa uThta hai dil se jo sochta hun kabhi
wo kaun the jo meri aarzu mein KHak hue
the kitne git jo aawaz ko taraste rahe
hazar rag rag-e-KHush-gulu mein KHak hue
ab is se achchha-bhala iKHtitam kya hota
uThe the main se magar ja ke tu mein KHak hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.