na suna ab mujhe tu afsana
na sunā ab mujhe tū afsāna
jal uThe na kahīñ ye parvāna
rāteñ kāTīñ haiñ karvaTeñ le kar
ishq karne kā hai ye harjānā
aag kā dariyā paar karnā hai
ishq kī raah se guzar jaanā
un ke aane se chain aatā hai
un kā jaanā hai jaan kā jaanā
qatl karnā nahīñ hai mansūba
un kī ḳhvāhish hai mujh ko taḌpānā
māntā hī nahīñ kabhī merī
kitnā mushkil hai dil ko samajhnā
harj un se nahīñ hai milne meñ
dil kā lete haiñ par vo harjāna
ye adā.eñ haiñ yaar ke fitne
hayā shoḳhī ġhazab kā itrānā
na suna ab mujhe tu afsana
jal uThe na kahin ye parwana
raaten kaTin hain karwaTen le kar
ishq karne ka hai ye harjaana
aag ka dariya par karna hai
ishq ki rah se guzar jaana
un ke aane se chain aata hai
un ka jaana hai jaan ka jaana
qatl karna nahin hai mansuba
un ki KHwahish hai mujh ko taDpana
manta hi nahin kabhi meri
kitna mushkil hai dil ko samajhna
harj un se nahin hai milne mein
dil ka lete hain par wo harjaana
ye adaen hain yar ke fitne
haya shoKHi ghazab ka itrana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.