na suno mere nale hain dard-bhare dar-o-asare aah-e-sahare
na suno mere nale hain dard-bhare dar-o-asare aah-e-sahare
Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
na suno mere naale haiñ dard-bhare dār-o-asare āh-e-sahare
tumheñ kyā jo koī martā hai mire ai dushman-e-jāñ be-dād-gare
tirī surmagīñ āñkhoñ ke sadqe inheñ chheḌ na panja-e-mizhgāñ se
abhī zaḳhm-e-jigar haiñ tamām hare ai mahv-e-taġhāful be-ḳhabare
liyā ishq meñ jog bhikārī bane tire naqsh-e-qadam ke pujārī bane
kabhī sajde kiye kabhī gird phire but sīm-bare zarrīñ-kamre
jo tū ne hazāroñ va.ade kiye lekin vo kabhī iifā na hue
dil hī haiñ rahe armān mire ai va.ada-shikan but hīla-gire
'bedam' kaheñ kyā kis tarah rahe mar mar ke jiye jī jī ke mare
dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnūn-e-shorīda-sare
na suno mere nale hain dard-bhare dar-o-asare aah-e-sahare
tumhein kya jo koi marta hai mere ai dushman-e-jaan be-dad-gare
teri surmagin aankhon ke sadqe inhen chheD na panja-e-mizhgan se
abhi zaKHm-e-jigar hain tamam hare ai mahw-e-taghaful be-KHabare
liya ishq mein jog bhikari bane tere naqsh-e-qadam ke pujari bane
kabhi sajde kiye kabhi gird phire but sim-bare zarrin-kamre
jo tu ne hazaron wade kiye lekin wo kabhi ifa na hue
dil hi hain rahe arman mere ai wada-shikan but hila-gire
'bedam' kahen kya kis tarah rahe mar mar ke jiye ji ji ke mare
dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnun-e-shorida-sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.