na surKHi ghuncha-e-gul mein tere dahan ki si
na surḳhī ġhuncha-e-gul meñ tire dahan kī sī
na yāsman meñ safā.ī tire badan kī sī
maiñ kyuuñ na phūlūñ ki us gul-badan ke aane se
bahār aaj mire ghar meñ hai chaman kī sī
ye barq-e-abr meñ dekhe se yaad aatī hai
jhalak kisī ke dupaTTe meñ nau-ratan kī sī
guloñ ke rañg ko kyā dekhte ho ai ḳhūbāñ
ye rañgateñ haiñ tumhāre hī pairahan kī sī
jo dil thā vasl meñ ābād tere hijr meñ aah
banī hai shakl ab us kī ujaaḌ ban kī sī
tū apne tan ko na de nastaran se ab tashbīh
bhalā tū dekh ye narmī hai tere tan kī sī
tirā jo paañv kā talvā hai bazm-e-maḳhmal sā
safā.ī is meñ hai kahiye to nastaran kī sī
'nazīr' ek ġhazal is zamīñ meñ aur bhī likh
ki ab to kam hai ravānī tire suḳhan kī sī
na surKHi ghuncha-e-gul mein tere dahan ki si
na yasman mein safai tere badan ki si
main kyun na phulun ki us gul-badan ke aane se
bahaar aaj mere ghar mein hai chaman ki si
ye barq-e-abr mein dekhe se yaad aati hai
jhalak kisi ke dupaTTe mein nau-ratan ki si
gulon ke rang ko kya dekhte ho ai KHuban
ye rangaten hain tumhaare hi pairahan ki si
jo dil tha wasl mein aabaad tere hijr mein aah
bani hai shakl ab us ki ujaD ban ki si
tu apne tan ko na de nastaran se ab tashbih
bhala tu dekh ye narmi hai tere tan ki si
tera jo panw ka talwa hai bazm-e-maKHmal sa
safai is mein hai kahiye to nastaran ki si
'nazir' ek ghazal is zamin mein aur bhi likh
ki ab to kam hai rawani tere suKHan ki si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.