na tarz-e-KHas na andaz-e-gul-fishan le kar
na tarz-e-ḳhās na andāz-e-gul-fishāñ le kar
pukārtā huuñ maiñ tujh ko tirī zabāñ le kar
tamām husn-e-tamannā dhuāñ dhuāñ le kar
nigāh bujh hī ga.ī raat kā samāñ le kar
mirī bahār-e-tamannā ko jāvedāñ kar de
maiñ kyā karūñgā bhalā umr-e-rā.egāñ le kar
tumhāre bazm kā dastūr chāhe jo bhī ho
tumhārī bazm meñ aayā huuñ maiñ zabāñ le kar
ab aur kitnā tamāsha banā.egī qismat
phirūñ maiñ apnā janāza kahāñ kahāñ le kar
mujhe hī raas na aa.ī ye bad-nasīb zabāñ
to kyā karoge miyāñ tum mirī zabāñ le kar
ye pastiyoñ kī lakīreñ na chhū sakeñgī mujhe
maiñ ghar se niklā huuñ āñkhoñ meñ āsmāñ le kar
suhāg jis kī judā.ī meñ ujḌā ujḌā hai
kabhī to lauTegā sone kī chūḌiyāñ le kar
tumhārā aa.ina kaise na ehtirām kare
mirī ġhazal bhī to aa.ī hai kahkashāñ le kar
ḳhirad kī resham-o-atlas-navāz mahfil meñ
junūñ chalā hai garebāñ kī dhajjiyāñ le kar
mizāj bachchoñ ke jaisā hai ab bhī 'qaisar' kā
bahut hī ḳhush hai vo kāġhaz kī titliyāñ le kar
na tarz-e-KHas na andaz-e-gul-fishan le kar
pukarta hun main tujh ko teri zaban le kar
tamam husn-e-tamanna dhuan dhuan le kar
nigah bujh hi gai raat ka saman le kar
meri bahaar-e-tamanna ko jawedan kar de
main kya karunga bhala umr-e-raegan le kar
tumhaare bazm ka dastur chahe jo bhi ho
tumhaari bazm mein aaya hun main zaban le kar
ab aur kitna tamasha banaegi qismat
phirun main apna janaza kahan kahan le kar
mujhe hi ras na aai ye bad-nasib zaban
to kya karoge miyan tum meri zaban le kar
ye pastiyon ki lakiren na chhu sakengi mujhe
main ghar se nikla hun aankhon mein aasman le kar
suhag jis ki judai mein ujDa ujDa hai
kabhi to lauTega sone ki chuDiyan le kar
tumhaara aaina kaise na ehtiram kare
meri ghazal bhi to aai hai kahkashan le kar
KHirad ki resham-o-atlas-nawaz mahfil mein
junun chala hai gareban ki dhajjiyan le kar
mizaj bachchon ke jaisa hai ab bhi 'qaisar' ka
bahut hi KHush hai wo kaghaz ki titliyan le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.