na Thahra dil mera gham khane wala
na Thahrā dil mirā ġham khāne vaalā
gayā duniyā se āḳhir jaane vaalā
nasīb-e-ġhair hī terī baqā hai
are o bevafā tarsāne vaalā
dil-e-dushman shagufta vasl kī shab
mirā dil dāġh-e-furqat khāne vaalā
musībat merī kyā raushan ho us par
ḳhabar bhī ho koī le jaane vaalā
shagufta ho jo dil vasl-e-butāñ meñ
shab-e-furqat vo hai murjhāne vaalā
bajā hai zikr hai vaa.iz ke lab par
mirā vo dost hai maiḳhāne vaalā
yahī dil hai jo shaidā-e-mizha hai
nishāne par tire chaḌh jaane vaalā
ruḳh-o-gesū haiñ donoñ husn-ārā
ye ahl-e-ā.ina vo shāne vaalā
ḳhayāl-e-mū-e-mizhgāñ chain kyā de
yahī nashtar to hai taḌpāne vaalā
maiñ naqsh-e-pā huuñ miT kar bhī rahūñgā
tire dar se nahīñ uTh jaane vaalā
ḳhayāl-e-ġhair aur furqat kā aalam
farishta maut kā hai aane vaalā
mirā hī sar faqat hai vaqf-e-saugand
are o jhūTī qasmeñ khāne vaalā
'tabīb'-e-ḳhasta-jāñ huuñ maiñ hī ai jaañ
tumhāre naam par mar jaane vaalā
na Thahra dil mera gham khane wala
gaya duniya se aaKHir jaane wala
nasib-e-ghair hi teri baqa hai
are o bewafa tarsane wala
dil-e-dushman shagufta wasl ki shab
mera dil dagh-e-furqat khane wala
musibat meri kya raushan ho us par
KHabar bhi ho koi le jaane wala
shagufta ho jo dil wasl-e-butan mein
shab-e-furqat wo hai murjhane wala
baja hai zikr hai waiz ke lab par
mera wo dost hai maiKHane wala
yahi dil hai jo shaida-e-mizha hai
nishane par tere chaDh jaane wala
ruKH-o-gesu hain donon husn-ara
ye ahl-e-aina wo shane wala
KHayal-e-mu-e-mizhgan chain kya de
yahi nashtar to hai taDpane wala
main naqsh-e-pa hun miT kar bhi rahunga
tere dar se nahin uTh jaane wala
KHayal-e-ghair aur furqat ka aalam
farishta maut ka hai aane wala
mera hi sar faqat hai waqf-e-saugand
are o jhuTi qasmen khane wala
'tabib'-e-KHasta-jaan hun main hi ai jaan
tumhaare nam par mar jaane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.