na tir hai na nishana magar duhai hai
na tiir hai na nishāna magar duhā.ī hai
munāfiqoñ se hamārī 'ajab laḌā.ī hai
agar udāsī bulā.e to dil se jā.ūñgā
purānā rishta nibhāne meñ kyā burā.ī hai
mujhe pukārā hai jādūgaroñ kī laḌkī ne
use batāo parī mujh se milne aa.ī hai
lahū ragoñ se nikālā laboñ pe lā rakkhā
ġharīb-e-shahr ne ye dāstāñ sunā.ī hai
ye dil kī chhat hai yahāñ har taraf dhuñdalkā hai
jalā sako to mohabbat diyā-salā.ī hai
na tir hai na nishana magar duhai hai
munafiqon se hamari 'ajab laDai hai
agar udasi bulae to dil se jaunga
purana rishta nibhane mein kya burai hai
mujhe pukara hai jadugaron ki laDki ne
use batao pari mujh se milne aai hai
lahu ragon se nikala labon pe la rakkha
gharib-e-shahr ne ye dastan sunai hai
ye dil ki chhat hai yahan har taraf dhundalka hai
jala sako to mohabbat diya-salai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.