na to aaghaz na anjam pe rona aaya
na to āġhāz na anjām pe ronā aayā
apnī diqqat kī har ik shaam pe ronā aayā
ahl-e-mahfil ko huī sham.a ke jalne kī ḳhushī
mujh ko parvāne ke anjām pe ronā aayā
dil se ubhrā to nigāhoñ ke darīche se girā
ashk bante hue har jaam pe ronā aayā
vaqt-e-ruḳhsat jo nigāhoñ ne tirī mujh ko diyā
yās-o-ummīd ke paiġhām pe ronā aayā
ham ġharīboñ kī bhalā sub.h kahāñ shaam kahāñ
sub.h par ashk bahe shaam pe ronā aayā
merī taqdīr meñ dar dar kā bhaTaknā thā 'kañval'
husn-e-āġhāz ke anjām pe ronā aayā
na to aaghaz na anjam pe rona aaya
apni diqqat ki har ek sham pe rona aaya
ahl-e-mahfil ko hui shama ke jalne ki KHushi
mujh ko parwane ke anjam pe rona aaya
dil se ubhra to nigahon ke dariche se gira
ashk bante hue har jam pe rona aaya
waqt-e-ruKHsat jo nigahon ne teri mujh ko diya
yas-o-ummid ke paigham pe rona aaya
hum gharibon ki bhala subh kahan sham kahan
subh par ashk bahe sham pe rona aaya
meri taqdir mein dar dar ka bhaTakna tha 'kanwal'
husn-e-aghaz ke anjam pe rona aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.