na to tare bujhen pal bhar na din mein chand chhupta hai
na to tare bujhen pal bhar na din mein chand chhupta hai
Sandeep Thakur
MORE BYSandeep Thakur
na to taare bujheñ pal bhar na din meñ chāñd chhuptā hai
ajab duniyā hai dil kī raat bhar sūraj bhī chamkā hai
zamīñ ashkoñ se dil kī bhīgtī hai tab kahīñ jā kar
laboñ pe muskurāhaT kā basantī phuul khiltā hai
liye ye fursatoñ kī reshmī chhatrī mujhe milne
jhijaktī būñdā-bāndī sā chhatoñ pe kaun aayā hai
badan kī vādiyoñ meñ gum kahīñ ho jaatī hai dhaḌkan
kabhī parvat se dil ke yaad kā jab jharnā girtā hai
khilaunoñ kī dukānoñ pe qadam ruk jaate haiñ ab bhī
mire dil ke kisī kone meñ bachpan chhup ke baiThā hai
agar ḳhushbū mulāqātoñ kī sāñsoñ meñ nahīñ to kyā
mere dil meñ kisī kī yaad kā chandan mahaktā hai
december kī ThiThurī raat meñ us peḌ ke nīche
lapeTe yaad kā kambal akelā kaun baiThā hai
purāne mausamoñ kī gard bah jaatī hai paanī meñ
kabhī jab tez jharnoñ meñ parinda pankh dhotā hai
na to tare bujhen pal bhar na din mein chand chhupta hai
ajab duniya hai dil ki raat bhar suraj bhi chamka hai
zamin ashkon se dil ki bhigti hai tab kahin ja kar
labon pe muskurahaT ka basanti phul khilta hai
liye ye fursaton ki reshmi chhatri mujhe milne
jhijakti bunda-bandi sa chhaton pe kaun aaya hai
badan ki wadiyon mein gum kahin ho jati hai dhaDkan
kabhi parwat se dil ke yaad ka jab jharna girta hai
khilaunon ki dukanon pe qadam ruk jate hain ab bhi
mere dil ke kisi kone mein bachpan chhup ke baiTha hai
agar KHushbu mulaqaton ki sanson mein nahin to kya
mere dil mein kisi ki yaad ka chandan mahakta hai
december ki ThiThuri raat mein us peD ke niche
lapeTe yaad ka kambal akela kaun baiTha hai
purane mausamon ki gard bah jati hai pani mein
kabhi jab tez jharnon mein parinda pankh dhota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.