Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na to uslub na andaz giran guzra hai

Shamshad shaad

na to uslub na andaz giran guzra hai

Shamshad shaad

MORE BYShamshad shaad

    na to uslūb na andāz girāñ guzrā hai

    us pe merā fan-e-parvāz girāñ guzrā hai

    ye alag baat natīja jo nikaltā lekin

    itnā māyūs-kun āġhāz girāñ guzrā hai

    ik na ik roz to khulnī thī sachchā.ī magar

    faash achānak jo huā raaz girāñ guzrā hai

    jin meñ jur.at nahīñ uḌne unhīñ ko merā

    honā yuuñ mā.il-e-parvāz girāñ guzrā hai

    aate jaate tirā paiham yuuñ lagānā choTeñ

    dil pe mere ai daġhābāz girāñ guzrā hai

    na to uslub na andaz giran guzra hai

    us pe mera fan-e-parwaz giran guzra hai

    ye alag baat natija jo nikalta lekin

    itna mayus-kun aaghaz giran guzra hai

    ek na ek roz to khulni hi thi sachchai magar

    fash achanak jo hua raaz giran guzra hai

    jin mein jurat nahin uDne ki unhin ko mera

    hona yun mail-e-parwaz giran guzra hai

    aate jate tera paiham yun lagana choTen

    dil pe mere ai daghabaz giran guzra hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now