na wo dil-dada-e-lutf-o-karam hai
na vo dil-dāda-e-lutf-o-karam hai
na us meñ ḳhvāhish-e-jāh-o-hasham hai
mo.attal ho gayā hai ik farīza
muqaffal chand haftoñ se haram hai
piyāla zahr kā hai zindagī ye
magar lagtā hai jaise jām-e-jam hai
bahut lagtā hai ik chhoTā sā ġham bhī
ḳhushī jitnī mile utnī hī kam hai
maiñ kaise duur kar duuñ us ko ḳhud se
ye saayā hī to merā ham-qadam hai
jo ḳhud muhtāj hai kyā us se māñgūñ
na hogā rab jo patthar kā sanam hai
nikālo is ko apne dil se 'anjum'
ki ye armān hī bābā-e-ġham hai
na wo dil-dada-e-lutf-o-karam hai
na us mein KHwahish-e-jah-o-hasham hai
moattal ho gaya hai ek fariza
muqaffal chand hafton se haram hai
piyala zahr ka hai zindagi ye
magar lagta hai jaise jam-e-jam hai
bahut lagta hai ek chhoTa sa gham bhi
KHushi jitni mile utni hi kam hai
main kaise dur kar dun us ko KHud se
ye saya hi to mera ham-qadam hai
jo KHud muhtaj hai kya us se mangun
na hoga rab jo patthar ka sanam hai
nikalo is ko apne dil se 'anjum'
ki ye arman hi baba-e-gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.