na wo wada-e-sar-e-rah hai na wo dosti na nibah hai
na wo wada-e-sar-e-rah hai na wo dosti na nibah hai
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
na vo va.ada-e-sar-e-rāh hai na vo dostī na nibāh hai
na vo dil-farebī ke haiñ chalan na vo pyārī pyārī nigāh hai
tire hijr meñ mah-e-sīm-bar koī ġhaur se jo kare nazar
mirī sub.h shaam se hai batar mirā roz shab se siyāh hai
hai har ek baat meñ ab kajī ki chalan nikāle haiñ aur hī
na vo rabt hai na vo dostī na vo rasm hai na vo raah hai
koī zahr-e-ġham piye tā-ba-kai huī sarf-e-sāġhar-e-ġhair mai
na vo joshish-e-sar-e-shām hai na vo va.ada-e-shab-e-māh hai
bane kyūñke phir mirī us kī ab ki ye tafraqa hai baḌā ġhazab
mujhe us se achchhe kī hai talab use mujh se achchhe kī chaah hai
kabhī sāmne se jo vo jaa.e hai kabhī pher muñh ko dikhā.e hai
mujhe dard-e-rashk satā.e hai ki yahī vo ġhairat-e-māh hai
thī nigāh pahle to us kī vuuñ kahīñ dostī meñ huā hai yuuñ
diyā us ne dil kahīñ aur kyuuñ yahī 'mus.hafī' kā gunāh hai
na wo wada-e-sar-e-rah hai na wo dosti na nibah hai
na wo dil-farebi ke hain chalan na wo pyari pyari nigah hai
tere hijr mein mah-e-sim-bar koi ghaur se jo kare nazar
meri subh sham se hai batar mera roz shab se siyah hai
hai har ek baat mein ab kaji ki chalan nikale hain aur hi
na wo rabt hai na wo dosti na wo rasm hai na wo rah hai
koi zahr-e-gham piye ta-ba-kai hui sarf-e-saghar-e-ghair mai
na wo joshish-e-sar-e-sham hai na wo wada-e-shab-e-mah hai
bane kyunke phir meri us ki ab ki ye tafraqa hai baDa ghazab
mujhe us se achchhe ki hai talab use mujh se achchhe ki chah hai
kabhi samne se jo wo jae hai kabhi pher munh ko dikhae hai
mujhe dard-e-rashk satae hai ki yahi wo ghairat-e-mah hai
thi nigah pahle to us ki wun kahin dosti mein hua hai yun
diya us ne dil kahin aur kyun yahi 'mushafi' ka gunah hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 268)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.