na ye andaz na lafzon se bayan hoti hai
na ye andāz na lafzoñ se bayāñ hotī hai
dil kī hālat to nigāhoñ se ayaañ hotī hai
ham zamāne se juḌe haiñ to zamāna ham se
ham koī baat kareñ sab kī zabāñ hotī hai
kuchh to pindār-e-vafā kā hī bharam rakh lete
bad-gumānī rah-e-ulfat meñ girāñ hotī hai
jis ko apnā kahā phir jaan luTā dī us par
qadr ḳhud-ġharazoñ ko par jaañ kī kahāñ hotī hai
raat ke pichhle pahar khulte haiñ daftar dil ke
apnī aahoñ kī sadā sun ke azaañ hotī hai
na ye andaz na lafzon se bayan hoti hai
dil ki haalat to nigahon se ayan hoti hai
hum zamane se juDe hain to zamana hum se
hum koi baat karen sab ki zaban hoti hai
kuchh to pindar-e-wafa ka hi bharam rakh lete
bad-gumani rah-e-ulfat mein giran hoti hai
jis ko apna kaha phir jaan luTa di us par
qadr KHud-gharazon ko par jaan ki kahan hoti hai
raat ke pichhle pahar khulte hain daftar dil ke
apni aahon ki sada sun ke azan hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.