na yun bar-bar dekho mera dil pighal gaya to
na yuuñ bār-bār dekho mirā dil pighal gayā to
maiñ kahāñ talak sambhālūñ ye agar machal gayā to
hai ye mashvara tumhārā ki maiñ dil pe jabr kar luuñ
kyā ye tum bhī sah sakoge maiñ agar badal gayā to
yā to dosh mujh ko mat do yā naqāb ḳhud ulaT do
tapish-e-nazar se merī jo naqāb jal gayā to
kaho kab talak kahoge be-zabāñ nahīñ huuñ maiñ bhī
kyā karoge mere muñh se kahīñ kuchh nikal gayā to
nahīñ ḳhauf-e-barq mujh ko ka.ī phir se ban sakeñge
kahīñ saath āshiyāñ ke ye chaman bhī jal gayā to
mere sabr-o-dar-guzar ko na samajhnā buz-dilī tum
ye tumheñ paḌegā mahñgā jo dimāġh chal gayā to
kisī fitna-gar kā 'najmī' hai sudhār ġhair-mumkin
ise mo.ajiza hī kahnā jo koī sañbhal gayā to
na yun bar-bar dekho mera dil pighal gaya to
main kahan talak sambhaalun ye agar machal gaya to
hai ye mashwara tumhaara ki main dil pe jabr kar lun
kya ye tum bhi sah sakoge main agar badal gaya to
ya to dosh mujh ko mat do ya naqab KHud ulaT do
tapish-e-nazar se meri jo naqab jal gaya to
kaho kab talak kahoge be-zaban nahin hun main bhi
kya karoge mere munh se kahin kuchh nikal gaya to
nahin KHauf-e-barq mujh ko kai phir se ban sakenge
kahin sath aashiyan ke ye chaman bhi jal gaya to
mere sabr-o-dar-guzar ko na samajhna buz-dili tum
ye tumhein paDega mahnga jo dimagh chal gaya to
kisi fitna-gar ka 'najmi' hai sudhaar ghair-mumkin
ise moajiza hi kahna jo koi sanbhal gaya to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.