na-KHush jo ho gul-badan kisi ka
nā-ḳhush jo ho gul-badan kisī kā
kyā bhaa.e use suḳhan kisī kā
gul kī mujhe kyuuñ kalī dikhā.ī
yaad aa gayā phir dahan kisī kā
har sañg kī koh par sadā hai
yaañ dafn hai kohkan kisī kā
karte ho pasand vahshat-e-dil
le jāoge kyā hiran kisī kā
bhūlī hai sabā qabā-e-gul par
dekhā nahīñ pairahan kisī kā
āshiq hī ke jab na kaam aayā
kis kaam kā bāñkpan kisī kā
aa jaa.e kisī kī maut mujh ko
mil jaa.e mujhe kafan kisī kā
siine se hamārā dil na le jaao
chhuḌvāte ho kyuuñ vatan kisī kā
gaate haiñ 'saḳhī' hī kī ġhazal vo
bhātā hī nahīñ suḳhan kisī kā
na-KHush jo ho gul-badan kisi ka
kya bhae use suKHan kisi ka
gul ki mujhe kyun kali dikhai
yaad aa gaya phir dahan kisi ka
har sang ki koh par sada hai
yan dafn hai kohkan kisi ka
karte ho pasand wahshat-e-dil
le jaoge kya hiran kisi ka
bhuli hai saba qaba-e-gul par
dekha nahin pairahan kisi ka
aashiq hi ke jab na kaam aaya
kis kaam ka bankpan kisi ka
aa jae kisi ki maut mujh ko
mil jae mujhe kafan kisi ka
sine se hamara dil na le jao
chhuDwate ho kyun watan kisi ka
gate hain 'saKHi' hi ki ghazal wo
bhata hi nahin suKHan kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.