na-muradi ka raqs jari hai
nā-murādī kā raqs jaarī hai
zindagī par jumūd taarī hai
Tuut jaa.e na aa.ina dil kā
talḳh lamhoñ kī zarb kaarī hai
der tak maiñ uThā nahīñ saktā
ajnabiyyat kā bojh bhārī hai
aap kī dil-shikan navāzish kā
phuul pazhmurdagī se aarī hai
ai 'asar' intishār hai mūrat
aur insān ik pujārī hai
na-muradi ka raqs jari hai
zindagi par jumud tari hai
Tut jae na aaina dil ka
talKH lamhon ki zarb kari hai
der tak main uTha nahin sakta
ajnabiyyat ka bojh bhaari hai
aap ki dil-shikan nawazish ka
phul pazhmurdagi se aari hai
ai 'asar' intishaar hai murat
aur insan ek pujari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.