na-qabil-e-bayan KHataon se Dar gae
nā-qābil-e-bayān ḳhatāoñ se Dar ga.e
ye bhī huā hai log duāoñ se Dar ga.e
kyā kyā gumāñ na the hameñ dīvār-o-dar ke biich
ūñchā.iyoñ pe jā ke ḳhalāoñ se Dar ga.e
majme.a meñ kar rahe the jo be-ḳhaufiyoñ kī baat
tanhā hue to apnī sadāoñ se Dar ga.e
chiñgāriyoñ ke khel meñ dāman jalā liyā
bhaḌkī jo aag tez havāoñ se Dar ga.e
din kyā chaḌhā ki ho liye sūraj ke saath saath
sūraj-mukhī ke phuul shuāoñ se Dar ga.e
maa.il na dil huā kabhī insāf kī taraf
qaazī badan kī apnī qabāoñ se Dar ga.e
har har ḳhatā ko sarf-e-nazar kar diyā gayā
zālim ye sun ke apnī sazāoñ se Dar ga.e
ham tark-e-mai-kashī kā irāda na kar sake
mausam kī ḳhunkiyoñ se ghaTāoñ se Dar ga.e
'nāshir' hameñ bachātā rahā hai ḳhudā kā ḳhauf
Dhāle hue ḳhud apne ḳhudāoñ se Dar ga.e
na-qabil-e-bayan KHataon se Dar gae
ye bhi hua hai log duaon se Dar gae
kya kya guman na the hamein diwar-o-dar ke bich
unchaiyon pe ja ke KHalaon se Dar gae
majmea mein kar rahe the jo be-KHaufiyon ki baat
tanha hue to apni sadaon se Dar gae
chingariyon ke khel mein daman jala liya
bhaDki jo aag tez hawaon se Dar gae
din kya chaDha ki ho liye suraj ke sath sath
suraj-mukhi ke phul shuaon se Dar gae
mail na dil hua kabhi insaf ki taraf
qazi badan ki apni qabaon se Dar gae
har har KHata ko sarf-e-nazar kar diya gaya
zalim ye sun ke apni sazaon se Dar gae
hum tark-e-mai-kashi ka irada na kar sake
mausam ki KHunkiyon se ghaTaon se Dar gae
'nashir' hamein bachata raha hai KHuda ka KHauf
Dhaale hue KHud apne KHudaon se Dar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.